Local Kanpur Uttar Prad news, India
कल्याणपुर में बेज़ुबान जानवरों का सहारा बनी शिवली रोड के एल्डिको निवासी तान्या अवस्थी ।
तान्या ने फ़ेसबुक पर भी एक ग्रूप बना रक्खा है जिसका नाम है - Pet Adoption and Rescue in Kanpur
इस ग्रुप में कानपुर के लोग बेज़ुबान जानवरों की मदद करने को हमेशा तत्पर रहते हैं।
तान्या ने अभी तक बीस से ज़्यादा कुत्तों को अडॉप्ट करवाया है और क़रीबन 25 से ज़्यादा कुत्तों का इलाज करवाया है.
उनका मानना है कि जिनका कोई नहीं होता उनके लिए ऊपर वाला किसी ना किसी को भेजता है ख़याल रखने के लिए।
तान्या और उनके टीम ने ऐसे कई बेज़ुबानो को एक नई ज़िंदगी प्रदान की है।
तान्या भविष्य में भी ये अच्छा काम ज़ारी रखना चाहती हैं और काफ़ी सदस्य बढ़ाना चाहती हैं अपनी टीम में ।
Panchiyo ka sahar
Supne aise hote hai ki hm sote huve kbhi bhi kahi bhi pahuch jate hai aisa hi bora ke sath huva . Bura chote se sahar me rahti thi vo bhale hii umar me badi ho gai magar dimak se vo abhi bhi choti hii thi bura supno me bahut bharosha karti thi .bora roj raat me khana kha ke sone ke liye apne room me chali jati or apne mithe supno me kho jati .Aisa hii kafi dino tak chalta raha vo roj ye soch kar soti ki aaj vo ache ache supne dekhegi or so jati magar raat me vo bahut gahri need me so jati or jab subah hoti to uth kar dhukhi hoti ki aaj bhi mere supno me kuch ni aaya .supno ka silsila lambe samay tak chalta raha ak din bora udas mn se apne kamre ke khidki ke pass baithi hui thi or aashman ki taraf dekh rahi thi ,aashman me badalo ki kali ghatay chai thi havay tej chal rahi thi or havao ke sath chidiyo ki chahchahat sunai de rahi thi utne me hii aashman me jhund ka jhund sunahri chidiyo ka ak jhund nikal raha tha bora unhe dekh kar mn me ye sochti rahi kash mai bhi aashman me aise hi udti rahu kaash mere bhi pankh hote jisse mai pure brahamand ka chakkar lagati .Ratri ka pahar suru ho gya or roj ki tarah bora khana kha ke sone ke liye chali gai or let kar sochti rahi jo usne sham ke samay aashman me dekha tha or sochte sochte so gai. Gahri need ka safar or bura jab uthi to usne dekha ki uske charo taraf sundar phoolo ka bagicha charo taraf chahchahati avaje mithi mithi dhun me gati hui chidiya , jhumti huve more , koyal ki madhur avaj uth kar utarne ko kiya to dekha ki vo phoolo me leti thi vo dar gai mai ye kaha aa gai or bora ne jaisa supna dekha tha vaise hi uske supno ki tarah uske pass bhi pankh the vo bahut khush hui.
Supno ka safar suru ho chuka tha bora ka bora bahut khush thi pankho ko pakar vo aashman ki havao me udne lgi jaise chidiya aashman me udti hai vaise hi bora ajad panchii ki tarah apne pankho se har jagah udti hui jhumti hui pedo me ghumti rahi suraj ki kidno me chand ki chandini subah se sham hui sham se rat magar bora ki udaan ni ruki vo supno ki duniya me bahut khush thi .bura chidiyo ke sath jhud me udti or unke sayh aashman ke chakkar lagti charo taraf sirf khula aashman or ped paodhe ,jaha pe mithe mithe ras bhare swadist phal lage huve the .
Ratri ka pahar jaise hi dhire dhire samapt hota ja raha tha bora apne supno se bahar aane lagi subah ho chuki thi or jaisa ki supne sone ke baad aate hai jab hmara dhyan akagra hota hai subah ho gai to sbhi ki logo ki aane jane chahal pahal ki avaaje sunkar bora need se uth gai or apne charo taraf dekhne lagi or pankho ko na pakar vo sochne lagi are mai to supno me kho gai thi , aree vaah supne aise hote hai maja aa gya bahut bdiya mujhe maja aaya pnkho me udne me .....
Bora ka supno ka safar yahi tak isse hme pata chala jab hmm kisi chij ko lekar bahut hii sochte hai ya uske baare me bate krte rahte sote jagte to aksar hota ki hmm sote samay usi duniya me kho jate hai hamara sarir kuch smay ke liye supno ki duniya me chala jata hai .
(-.-)Andheri rat ka manjar-chandini ko chhup jaane doon kidno ko halke se palko ko chhu jaane doo aane doo.....(^.^)
(-.-)Palko main hai jitna andhera
raat hai utnii andheri
raat main hii hai savera kahi chhupa
uus raat koo jaane doo
chandini bhii yahi kahe
abb mujhe chhup jaane doo
aane doo suraj koo
uun suraj ki kidno ko aane doo
pahra na lagao tumm kidnooo ko
merii palko se takraane doo
andhere se kone ko
roshini se bhar jaane doo
andheri raat ko jaane doo
subahaaa kii roshini ko aane doo
aaaaaane..... dooo.....aane ..doo
ROSHINI KO AANE DOON
CHANDINI KO CHHUP JANE DOON
MERI PALKO SE TAKRAANE DOON.
..................................(-.-) /(^.^)
ISAARĂ /KHAABO KÄ(^.^)
Khaabo main aate jaate dekha hai maine , khaabo main aate jaate mahsus kiya hai , needo se gujarte huve har raste ko dekha maine , maine dekha uun sadko,needo ki uun galiyo ko jin galiyo se guzar kar hakikat se nikal kar mai kisi dusri hii duniya main jaati hu rooj ghabrati hu thoda saa darti hu thoda sa magar dar kar bhagati nahi , spno se agar khojnaa gujarte uun khaabo ko needo main jana uun galiyo main sadko main jana , jaan naa samjh paii kabhiii uun galiyoo ko.
Rat kii chandini kii tarah -suraj kii ugtii huii subah kii tarah har khaab dhundhla jata ,roshini ke sath aata har naya din batlaata har vo hakikat bhagta mn jisse har pal khuni aankho main chhipa hai har raat ka voo nishan joo , bhagta hai jisse mn bhulna chahe jise jaane fir kyu raat aakar unhi galiyoo main le jaati, unhi rasto , rasto main ghumata jin rasto main aate jaate dekha maine , maine dekha uun jagte supno ko uun diwariyoo ko je tu bhagta ka btati vya jaane se pahle hiii galiiya bulay unhiii galiyoo main mujhe .
Anchahe se ....
Kuch chije kbhi kbhi kismat pe chod dena chahiye kyuki aap jitna bandhne ki kosis krte hai vo chij apse utna hii dur hoti jati hai .jaise bahti havao ko rokna bevkufi hai -havao ki koi disha ni hoti anchahe rasto me ye havay chalti hai .hakikat hai ya paheli hai koi
..Sayrana ankhe..
Log aksar ankho ki khubsurti ko baya krtee hai unki tulna kisi chij se karte Ankhe khuli ho ya bnd ho magar kuch to asar hota hai adao me ankho ki jab jab ye palke uthti hai kuch to nazakat hoti hai iin ankho me , jab bhi ye sarmake palke jhukti hai to nazakator aday kayamat ki tarah hoti hai .
Ankho ki agar bat hui hai to mai apko ak choti si story sunati hu -
Ak gaav me nadi ke kinare ak ldki rahti thi vo bahur hii sundar thi uske baal bahut hii ghane or ankhe badi badi thi usko gaane bahut pasand tha vo har sham nadi ke kinare baith ke medhko se baat krti or machliyi ko daana dalti or jab machliya avaj karti to unki avaj sunkar vo gaane lgti yani machliyo ko daane dene ke baad jab vo dekhti ki ab inka pet bhar gya hai to vo santust ho jati or isi khushi me khusd bhi khush rahti vo pani ke pass baith ke unko gaane sunati or apne komal hatho se pani ko sahlati .ak din jab vo nadi ke pss baithi thi or bahut hi udas mn se geet gaa rahi thi pass se ak adhubhut dikhne vala ak ldka nikal raha tha uske kaano me ak shahmi shahmi si avaj sunai di vo uss avaj ko sunkar jaha se avaj aa rahi thi vaha jane lage vo ldka ye janne ke liye bahut vyakul tha ki itni mithi avaj me ye kaisa thaharo hai jo mujhe paresaan krne lga hai vo uss avaj ko dhodte dhodte nadi ke pass jaise hi pahucha usne dekha ki nadi ke pass ak ldki baithi hai iske sundar baal prakrati ke chadar me fhaile huve hai or vo panchiyo se baate kar rahi hai apne geet ke dvara vo jaise hii uske nikat pahuchta hai uss sundar yuvti ko kisi ke aane ki avaj sunai deti hai vo piche mudkar dekhti hai to use ak sunadar lambe kad ka adhubhut dikhne vala ldka dikhai deta hai, ldka uske chehre ko to nahi dekh paya magr suraj ki chamkti roshni me uski ankhe dekh kuch der ke liye vo jaisa kho gya ho jab tak vo hos me aaya sundar uvati uss ldke ko dekh kr vaha se uth kr chali gai. Us ldki ko dekhne ke liye vo ldka roj nadi ke pass aane lga magar vo ldki ni mili . Lalke chah din pratidin badti gai uss ldki ko dekhne ki .....